Sunday, January 29, 2012

-Death was Never an option But success was-



Death was never an option for him but success was,yes he was charming a dude
He also have dreams and a abillity to make out something better for the rude future,
He devoted everything for a bright a carrier,he was 7 when he leaved home and found his new home in the hostel “Tauheed Academy” located in kishanganj,bihar.just only for having quality type studies I remebered him when he was in class 5th and I was in 2nd,as though my experience’s of living with the seniors Was somehow altered that time so beacause he was senior.
.



But like all seniors he doesn’t bully us or specially me b’coz I was the most emotional boy of that hostel,yes I am talking about ezaz alam or ezaz bhai.
Jee haan main baat kar raha hun ejaz bhai ya fir cadet ejaz alam ka jo aaj hamare bich nahin hai ya na hokar bhi hai.mujhe yaad hai who din jab unki maa unhein hostel mein chhorkar jaati thi to itna roti  ki who apne bete ko chhorkar jaa nahin paati, magar haalaat se samjhauta karke jaana to padta hi tha,magar aaj yeh kaise haalaat hain ki jinse samjhauta karna kaafi mushkil hai ya fir naamumkin hai.
Jee haan main baat kar raha hun uss ejaz alam ki jo sapnon ko pura karne ke liye kisi bhi had tak jaa sakta tha aur shayad gaya bhi tha.kamyabi ke itne najdik aakar use kya mila ek aisi maut jo shayad kisi ko naa mile,

Who’s photo is given above was a boy just like us, charming, happy & satisfied he never complained to god for his present condition.after doing 12th from delhi he joined the liverpool academy for the training of merchant navy.His father is a farmer and had hardly managed to pay his fee’s,after 1 year training his placement was successfull in starmarine pvt ltd. then He return back to katihar his hometown for some passport assistance from the passport office,because his passport was not ready.




Par unhein kya pata tha ki agar who iss baar aayega to phir kabhi wapas nahin jaa paayega,ab tak toh who apni safalta ko door khade jhaanka karte the par jab paas aakar use haasil karne ka mauka mila to phir achanak ye kya,apne gaon se thodi door main road pakadte waqt ek Tractor ne use uske bike ke saath kuchal diya aur saath mein kuchal diye kai saare sapne jo atut the.woh turning pont the jiske wajah se yeh accident hua jaisa ki log kehte hain main bhi kehta hun ki who ek turning point tha shayad unki jindagi ka sabse bada turning point.




Log kehte hain ki upar waale ko yahi manjur tha magar main kehta hun ki agar upar waale ko yahi manjur kyon tha phir itna drama kyon,kyon dikhaye use aise sapne jo waqt be waqt chhin hi lena tha,aur phir uss maa ka kya jo dur apne gaon mein baithi ye sochti thi ki uska beta use ek din apne jahaj par bithakar saari duniya ki sair karayega.
Aur kya hoga us baap ka jise dard toh hai par ro nahin paa raha,jiske baajuon mein taaqat to hai par apne bete ka arthi nahin uttha paa raha.aisi kya majboori hai unki ya fir aisa kya hai iss duniya mein ya fir upar waale ko yahi manjoor kyon tha kuch aur kyon nahin.

Sawaal bahut saare hain magar jawaab utne hi kam.unhone kamyabi sochi thi maut to nahin par unke sochne se kya hoga hota toh wohi hai jo manjoor-e-khuda hota hai.

No comments:

Post a Comment